kya shoKH-o-shang shai nigah-e-sharmgin bhi hai
kya shoKH-o-shang shai nigah-e-sharmgin bhi hai
Rasheed Kausar Farooquee
MORE BYRasheed Kausar Farooquee
kyā shoḳh-o-shañg shai nigah-e-sharmgīñ bhī hai
chilman se jhāñktī bhī hai chilman-nashīñ bhī hai
ġhunche shagūfe chhoḌne vaale haiñ anqarīb
is ahd-e-ḳhurd-bīñ meñ koī dūrbīñ bhī hai
apne mizāj hī ke ta.āqub meñ huuñ hanūz
farsh-e-sifāl bhī falak-e-chār meñ bhī hai
ham aap par na aap kareñ ham pe e'timād
dāman ke saath saath yahāñ āstīñ bhī hai
takiya karam pe kaise karūñ maiñ ki nāz-e-husn
nukta-navāz hai to sahī nukta-chīñ bhī hai
karte ho apne shahr ko kyā kyā malāmateñ
jis kī kamī hai jā ke to dekhūñ kahīñ bhī hai
detā hai aadmī ko sahārā qadam qadam
ik tā.if-ul-ḳhayāl jo hai bhī nahīñ bhī hai
rūposhī-e-sujūd meñ bhī niyyat-e-numūd
Tapkā kalañk kā mirā dāġh-e-jabīñ bhī hai
naql-e-vatan bhī kar ke kahāñ jā.iyegā aap
bandoñ kī zad pe ab to ḳhudā kī zamīñ bhī hai
apne ko kitne saañp se Dasvā rahe haiñ ham
mas.hūr haiñ ki vaqt kī nāgin hasīñ bhī hai
kyā aap jhuTpuTe ko bhī pahchānte nahīñ
dastī hai jo sabāh vo kyā rāstīñ bhī hai
jiinā idhar muhāl hai marnā udhar muhāl
zahrāb bhī vahī hai vahī añgbīñ bhī hai
ham tā.irān-e-arsh ko pīchhe se mat pukār
maazī kī yādgār to dīvār-e-chīñ bhī hai
shāyad janāb-e-nūh bhī hoñge gila-guzār
afsāna nā-tamām dam-e-vāpsīñ bhī hai
kya shoKH-o-shang shai nigah-e-sharmgin bhi hai
chilman se jhankti bhi hai chilman-nashin bhi hai
ghunche shagufe chhoDne wale hain anqarib
is ahd-e-KHurd-bin mein koi durbin bhi hai
apne mizaj hi ke taaqub mein hun hanuz
farsh-e-sifal bhi falak-e-chaar mein bhi hai
hum aap par na aap karen hum pe e'timad
daman ke sath sath yahan aastin bhi hai
takiya karam pe kaise karun main ki naz-e-husn
nukta-nawaz hai to sahi nukta-chin bhi hai
karte ho apne shahr ko kya kya malamaten
jis ki kami hai ja ke to dekhun kahin bhi hai
deta hai aadmi ko sahaara qadam qadam
ek taif-ul-KHayal jo hai bhi nahin bhi hai
ruposhi-e-sujud mein bhi niyyat-e-numud
Tapka kalank ka mera dagh-e-jabin bhi hai
naql-e-watan bhi kar ke kahan jaiyega aap
bandon ki zad pe ab to KHuda ki zamin bhi hai
apne ko kitne sanp se Daswa rahe hain hum
mashur hain ki waqt ki nagin hasin bhi hai
kya aap jhuTpuTe ko bhi pahchante nahin
dasti hai jo sabah wo kya rastin bhi hai
jina idhar muhaal hai marna udhar muhaal
zahrab bhi wahi hai wahi angbin bhi hai
hum tairan-e-arsh ko pichhe se mat pukar
mazi ki yaadgar to diwar-e-chin bhi hai
shayad janab-e-nuh bhi honge gila-guzar
afsana na-tamam dam-e-wapsin bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.