kya shor use din ka kya raat ki KHamoshi
kyā shor use din kā kyā raat kī ḳhāmoshī
jis shaḳhs pe taarī ho hālāt kī ḳhāmoshī
kyā hashr uThātī hai kyā ḳhauf baḌhātī hai
pūchhe koī dul.han se bārāt kī ḳhāmoshī
jo kuchh bhī kahā tum ne sab maan liyā ham ne
kis baat kā ab ġhussa kis baat kī ḳhāmoshī
ik vaqt to aisā bhī dekhā hai kabhī ham ne
sadiyoñ pe girāñ guzrī lamhāt kī ḳhāmoshī
ik suljhā huā pahlū pāzeb kī jhankāreñ
ik uljhī huī ġhutthī naġhmāt kī ḳhāmoshī
kya shor use din ka kya raat ki KHamoshi
jis shaKHs pe tari ho haalat ki KHamoshi
kya hashr uThati hai kya KHauf baDhati hai
puchhe koi dulhan se baraat ki KHamoshi
jo kuchh bhi kaha tum ne sab man liya hum ne
kis baat ka ab ghussa kis baat ki KHamoshi
ek waqt to aisa bhi dekha hai kabhi hum ne
sadiyon pe giran guzri lamhat ki KHamoshi
ek suljha hua pahlu pazeb ki jhankaren
ek uljhi hui ghutthi naghmat ki KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.