kya suna tumne zamane se suna bhi dena
kyā sunā tum ne zamāne se sunā bhī denā
kyā diyā ham ne zamāne ko batā bhī denā
silsila ahd-e-guzishta se milā bhī denā
maiñ bhī zinda huuñ ye ehsās dilā bhī denā
kis ko aatā hai ham aisoñ meñ sazā bhī denā
qatl karnā bhī hameñ ḳhūn-bahā bhī denā
shaam hote hī charāġhoñ ko jalānā bhī zarūr
sub.h hote hī charāġhoñ ko bujhā bhī denā
koī tūfān-e-balā-ḳhez kab aa.egā idhar
tum ko ma.alūm agar ho to batā bhī denā
dekh kar sub.h ke āsār jo ham sone lageñ
ai nasīm-e-saharī ham ko jagā bhī denā
ġham-zada log jahāñ hoñ vahīñ khulte haiñ ham
aise ahbāb kahāñ haiñ ye batā bhī denā
ye alag baat ki tum bach ke guzar sakte ho
raah meñ ho koī patthar to haTā bhī denā
kuchh takalluf bhī zarūrī hai suḳhanvar ke liye
kuchh na.e sher kahe hoñ to sunā bhī denā
kya suna tum ne zamane se suna bhi dena
kya diya hum ne zamane ko bata bhi dena
silsila ahd-e-guzishta se mila bhi dena
main bhi zinda hun ye ehsas dila bhi dena
kis ko aata hai hum aison mein saza bhi dena
qatl karna bhi hamein KHun-baha bhi dena
sham hote hi charaghon ko jalana bhi zarur
subh hote hi charaghon ko bujha bhi dena
koi tufan-e-bala-KHez kab aaega idhar
tum ko malum agar ho to bata bhi dena
dekh kar subh ke aasar jo hum sone lagen
ai nasim-e-sahari hum ko jaga bhi dena
gham-zada log jahan hon wahin khulte hain hum
aise ahbab kahan hain ye bata bhi dena
ye alag baat ki tum bach ke guzar sakte ho
rah mein ho koi patthar to haTa bhi dena
kuchh takalluf bhi zaruri hai suKHanwar ke liye
kuchh nae sher kahe hon to suna bhi dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.