kya sunaen haal-e-dil izhaar ke qabil nahin
kyā sunā.eñ hāl-e-dil iz.hār ke qābil nahīñ
lutf hī kyā zindagī meñ tum agar shāmil nahīñ
ik zarā sī Thes pahūñchī TukḌe TukḌe ho ga.ī
koī shīsha hai mire siine meñ shāyad dil nahīñ
muskurā detā huuñ aksar gardish-e-hālāt par
sochtā huuñ zer-e-pā ab kaun sī manzil nahīñ
ġham diye duniyā ne lekin mujh ko pahchāne baġhair
koī ġham shāyān-e-mauj-e-iztirāb-e-dil nahīñ
jaane le aa.ī hameñ kis moḌ par dīvāngī
DhūñDne nikle the jis ko ham ye vo manzil nahīñ
kis tarah aa.e tirī sūrat nazar ke sāmne
dil kā ā.īna hī jab tasvīr ke qābil nahīñ
ik musalsal dard-e-manzil ek jehd-e-mustaqil
koī lamha zindagī meñ lamha-e-hāsil nahīñ
chhoḌ kar 'azmat' ko tanhā ham-safar kahne lage
aisā dīvāna hamāre saath ke qābil nahīñ
kya sunaen haal-e-dil izhaar ke qabil nahin
lutf hi kya zindagi mein tum agar shamil nahin
ek zara si Thes pahunchi TukDe TukDe ho gai
koi shisha hai mere sine mein shayad dil nahin
muskura deta hun aksar gardish-e-haalat par
sochta hun zer-e-pa ab kaun si manzil nahin
gham diye duniya ne lekin mujh ko pahchane baghair
koi gham shayan-e-mauj-e-iztirab-e-dil nahin
jaane le aai hamein kis moD par diwangi
DhunDne nikle the jis ko hum ye wo manzil nahin
kis tarah aae teri surat nazar ke samne
dil ka aaina hi jab taswir ke qabil nahin
ek musalsal dard-e-manzil ek jehd-e-mustaqil
koi lamha zindagi mein lamha-e-hasil nahin
chhoD kar 'azmat' ko tanha ham-safar kahne lage
aisa diwana hamare sath ke qabil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.