kya sunaun main tujhe apni kahani jaani
kyā sunā.ūñ maiñ tujhe apnī kahānī jaanī
donoñ hāthoñ se luTā.ī hai javānī jaanī
ek to terī mohabbat meñ taḌaptā huā dil
aur phir us pe mirī shoḳh-bayānī jaanī
Daal kar pyāloñ meñ sho.aloñ ko gaTak jaate the
ham javānī meñ kahāñ piite the paanī jaanī
ek tū ek mohabbat mirī lā-fānī hai
baaqī har chiiz hai is duniyā meñ aanī jaanī
aaj bādal bhī haiñ kuchh aur hī niile niile
terī chunarī bhī hai had se sivā dhānī jaanī
in se un se mire ahvāl talab kartā hai
sun kabhī haal mirā merī zabānī jaanī
vo nahīñ suntā hai merī tirī shāyad sun le
is liye tujh ko sunātā huuñ kahānī jaanī
rafta rafta mirī nazroñ se huā vo ojhal
aur maiñ āvāz lagātā rahā jaanī jaanī
kya sunaun main tujhe apni kahani jaani
donon hathon se luTai hai jawani jaani
ek to teri mohabbat mein taDapta hua dil
aur phir us pe meri shoKH-bayani jaani
Dal kar pyalon mein shoalon ko gaTak jate the
hum jawani mein kahan pite the pani jaani
ek tu ek mohabbat meri la-fani hai
baqi har chiz hai is duniya mein aani jaani
aaj baadal bhi hain kuchh aur hi nile nile
teri chunari bhi hai had se siwa dhani jaani
in se un se mere ahwal talab karta hai
sun kabhi haal mera meri zabani jaani
wo nahin sunta hai meri teri shayad sun le
is liye tujh ko sunata hun kahani jaani
rafta rafta meri nazron se hua wo ojhal
aur main aawaz lagata raha jaani jaani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.