kya talKHi-e-dauran hai tu aankh mila saqi
kyā talḳhī-e-daurāñ hai tū aañkh milā saaqī
ehsās ke sahrā meñ kuchh phuul khilā saaqī
paimāna-e-rangīñ ab gir jaa.e na hāthoñ se
sāġhar se bahut pī lī āñkhoñ se pilā saaqī
aa mahfil-e-daurāñ meñ ik rasm na.ī Dāleñ
maiñ tujh ko pilātā huuñ tū mujh ko pilā saaqī
ham ahl-e-tarīqat to ham-mashrab-e-daurāñ haiñ
ab aur ḳhafā ham se kyā hogā ḳhudā saaqī
rahne do 'kiran' sāhib kyā shikve haiñ saaqī se
barsoñ kī riyāzat hai rindoñ ko pilā saaqī
kya talKHi-e-dauran hai tu aankh mila saqi
ehsas ke sahra mein kuchh phul khila saqi
paimana-e-rangin ab gir jae na hathon se
saghar se bahut pi li aankhon se pila saqi
aa mahfil-e-dauran mein ek rasm nai Dalen
main tujh ko pilata hun tu mujh ko pila saqi
hum ahl-e-tariqat to ham-mashrab-e-dauran hain
ab aur KHafa hum se kya hoga KHuda saqi
rahne do 'kiran' sahib kya shikwe hain saqi se
barson ki riyazat hai rindon ko pila saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.