kya tarz-e-tabassum hai ki tahrir lage hai
kya tarz-e-tabassum hai ki tahrir lage hai
Lal Chand Parathi Chand Kalwi
MORE BYLal Chand Parathi Chand Kalwi
kyā tarz-e-tabassum hai ki tahrīr lage hai
badlā huā tevar mirī taqdīr lage hai
kyoñ dekh liyā vaqt-e-safar pyaar se tum ne
har tār-e-nazar paañv kī zanjīr lage hai
aañsū kī zabāñ kuchh nahīñ ye ḳhud hī zabāñ hai
aa jaa.e ravānī pe to taqrīr lage hai
hai shauq-e-junūñ-ḳhez kā adnā ye karishma
har shai se ubhartī tirī tasvīr lage hai
nashsha hai to ik nashsha hai mastī hai to mastī
dil ahl-e-ḳharābāt kī jāgīr lage hai
sayyād kā ye tarz-e-taġhāful bhī 'ajab hai
taake hai udhar aur idhar tiir lage hai
hotā nahīñ ai 'chāñd' asar aah kā un par
is meñ koī taqdīr kī tāḳhīr lage hai
kya tarz-e-tabassum hai ki tahrir lage hai
badla hua tewar meri taqdir lage hai
kyon dekh liya waqt-e-safar pyar se tum ne
har tar-e-nazar panw ki zanjir lage hai
aansu ki zaban kuchh nahin ye KHud hi zaban hai
aa jae rawani pe to taqrir lage hai
hai shauq-e-junun-KHez ka adna ye karishma
har shai se ubharti teri taswir lage hai
nashsha hai to ek nashsha hai masti hai to masti
dil ahl-e-KHarabaat ki jagir lage hai
sayyaad ka ye tarz-e-taghaful bhi 'ajab hai
take hai udhar aur idhar tir lage hai
hota nahin ai 'chand' asar aah ka un par
is mein koi taqdir ki taKHir lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.