kya the andeshe ki har baat pe roe hum tum
kyā the andeshe ki har baat pe ro.e ham tum
'ishq meñ kitne maqāmāt pe ro.e ham tum
aaj tak manzil-e-maqsūd na paa.ī na sahī
thak ke baiThe na musāfāt pe ro.e ham tum
do badan saath na sāvan meñ kabhī bhiig sake
ḳhvāhish-e-mausam-e-barsāt pe ro.e ham tum
saath hañsne kī tamanna thī bahut jis ke liye
ḳhuub jā jā ke mazārāt pe ro.e ham tum
ham charāġhoñ kī tarah the to ye duniyā thī havā
apnī qismat kī siyah raat pe ro.e ham tum
log rote haiñ kahāñ ġhair ke dukh meñ 'sābir'
aur daraḳhtoñ ke jhare paat pe ro.e ham tum
kya the andeshe ki har baat pe roe hum tum
'ishq mein kitne maqamat pe roe hum tum
aaj tak manzil-e-maqsud na pai na sahi
thak ke baiThe na musafat pe roe hum tum
do badan sath na sawan mein kabhi bhig sake
KHwahish-e-mausam-e-barsat pe roe hum tum
sath hansne ki tamanna thi bahut jis ke liye
KHub ja ja ke mazaraat pe roe hum tum
hum charaghon ki tarah the to ye duniya thi hawa
apni qismat ki siyah raat pe roe hum tum
log rote hain kahan ghair ke dukh mein 'sabir'
aur daraKHton ke jhare pat pe roe hum tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.