kya tujhko bataen ai hamdam kya hashr ka saman hota hai
kya tujhko bataen ai hamdam kya hashr ka saman hota hai
Kamal Hyderabadi
MORE BYKamal Hyderabadi
kyā tujh ko batā.eñ ai hamdam kyā hashr kā sāmāñ hotā hai
jab ishq kī jaañ par bantī hai jab husn pashemāñ hotā hai
jo aañkh se aañsū bahtā hai vo nang-e-ġham-e-jāñ hotā hai
vo ashk guhar kahlātā hai palkoñ pe jo raqsāñ hotā hai
kyā kyā na ba-nām-e-lutf-o-karam ai gardish-e-daurāñ hotā hai
taḳhrīb ke sāmāñ hote haiñ ta.amīr kā unvāñ hotā hai
kyā tujh ko ḳhabar hai ai nāseh kyā chiiz mohabbat hotī hai
kyūñkar shab-e-furqat kaTtī hai aur kyā ġham-e-hijrāñ hotā hai
ai ahl-e-chaman ab tum hī kaho ye kār-e-junūñ pesha to nahīñ
tanzīm-e-nasheman hotī hai barbād gulistāñ hotā hai
barbād jafāoñ kī āñdhī yuuñ hosh uḌātī hai mere
jis tarah havā se ik āñchal gulshan meñ pareshāñ hotā hai
kuchh dard vafā kī rāhoñ meñ hamrāh vo chalte to haiñ magar
ho jaate haiñ ojhal nazroñ se ik moḌ numāyāñ hotā hai
us zaḳhm kī lazzat kyā ho bayāñ us dard kā aalam kyā kahiye
jis vaqt kisī kā tīr-e-nazar paivast-e-rag-e-jāñ hotā hai
maanā ki bhañvar meñ kashtī hai aur yūrish-e-tūfāñ bhī hai magar
kyā ḳhauf 'kamāl' ab maujoñ kā allāh nigahbāñ hotā hai
kya tujh ko bataen ai hamdam kya hashr ka saman hota hai
jab ishq ki jaan par banti hai jab husn pasheman hota hai
jo aankh se aansu bahta hai wo nang-e-gham-e-jaan hota hai
wo ashk guhar kahlata hai palkon pe jo raqsan hota hai
kya kya na ba-nam-e-lutf-o-karam ai gardish-e-dauran hota hai
taKHrib ke saman hote hain tamir ka unwan hota hai
kya tujh ko KHabar hai ai naseh kya chiz mohabbat hoti hai
kyunkar shab-e-furqat kaTti hai aur kya gham-e-hijran hota hai
ai ahl-e-chaman ab tum hi kaho ye kar-e-junun pesha to nahin
tanzim-e-nasheman hoti hai barbaad gulistan hota hai
barbaad jafaon ki aandhi yun hosh uDati hai mere
jis tarah hawa se ek aanchal gulshan mein pareshan hota hai
kuchh dard wafa ki rahon mein hamrah wo chalte to hain magar
ho jate hain ojhal nazron se ek moD numayan hota hai
us zaKHm ki lazzat kya ho bayan us dard ka aalam kya kahiye
jis waqt kisi ka tir-e-nazar paiwast-e-rag-e-jaan hota hai
mana ki bhanwar mein kashti hai aur yurish-e-tufan bhi hai magar
kya KHauf 'kamal' ab maujon ka allah nigahban hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.