Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya tumko bataun ham-nafaso kyon zabt ka daman chhoD diya

Syed Manzar Hasan Desnavi

kya tumko bataun ham-nafaso kyon zabt ka daman chhoD diya

Syed Manzar Hasan Desnavi

MORE BYSyed Manzar Hasan Desnavi

    kyā tum ko batā.ūñ ham-nafaso kyoñ zabt dāman chhoḌ diyā

    siine meñ tapish kuchh aisī thī ik daaġh ko raushan chhoḌ diyā

    ādāb-e-junūñ the pesh-e-nazar aur hosh thā itnā vahshat meñ

    apnā jo garebāñ yaad aaya us shoḳh dāman chhoḌ diyā

    tūfāñ guzar sayyād Dar kuchh bhī to na thā us māman meñ

    kāñToñ talab thī shāyad ḳhud apnā nasheman chhoḌ diyā

    kab tak maiñ rahīn-e-dard rahūñ kab tak mirā dāman chaak rahe

    jab yaad baḌhī kuchh had se sivā to nāla-o-shevan chhoḌ diyā

    ab zauq-e-asīrī us ko kaheñ kam-nigahī apnī 'manzar'

    zanjīr nahīñ jab paañv meñ kyoñ kūcha-e-barzan chhoḌ diyā

    hangām-e-bahārāñ hai shāyad pūchho to zarā kyoñ 'manzar' ne

    yuuñ ābla-pā hone ke liye phir gosha-e-gulshan chhoḌ diyā

    kya tum ko bataun ham-nafaso kyon zabt ka daman chhoD diya

    sine mein tapish kuchh aisi thi ek dagh ko raushan chhoD diya

    aadab-e-junun the pesh-e-nazar aur hosh tha itna wahshat mein

    apna jo gareban yaad aaya us shoKH ka daman chhoD diya

    tufan ka guzar sayyaad ka Dar kuchh bhi to na tha us maman mein

    kanTon ki talab hi thi shayad KHud apna nasheman chhoD diya

    kab tak main rahin-e-dard rahun kab tak mera daman chaak rahe

    jab yaad baDhi kuchh had se siwa to nala-o-shewan chhoD diya

    ab zauq-e-asiri us ko kahen ya kam-nigahi apni 'manzar'

    zanjir nahin jab panw mein kyon kucha-e-barzan chhoD diya

    hangam-e-bahaaran hai shayad puchho to zara kyon 'manzar' ne

    yun aabla-pa hone ke liye phir gosha-e-gulshan chhoD diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now