kya tumhin rang liye baiThe ho ruKHsaron mein
kyā tumhīñ rang liye baiThe ho ruḳhsāroñ meñ
saikḌoñ phuul haiñ is rang ke gulzāroñ meñ
dhuum jin kī hai bahut misr ke bāzāroñ meñ
vo bhī to haiñ mire yūsuf ke ḳharīdāroñ meñ
huuñ vo dil-soḳhta kis kis ko mirā ġham na huā
sham.a tak aa ke chalī hai mire ġham-ḳhvāroñ meñ
ye ḳhushī kam hai ki is dahr meñ ġham jitnā thā
baT gayā aaj vo sab mere azādāroñ meñ
maiñ tujhe qatl ke iḳhfā kī batā duuñ tadbīr
baiTh jā aa ke yahāñ mere azādāroñ meñ
koī TuuTe hue dil kā nahīñ gāhak 'safdar'
bārhā jā ke dikhā laa.eñ haiñ bāzāroñ meñ
kya tumhin rang liye baiThe ho ruKHsaron mein
saikDon phul hain is rang ke gulzaron mein
dhum jin ki hai bahut misr ke bazaron mein
wo bhi to hain mere yusuf ke KHaridaron mein
hun wo dil-soKHta kis kis ko mera gham na hua
shama tak aa ke chali hai mere gham-KHwaron mein
ye KHushi kam hai ki is dahr mein gham jitna tha
baT gaya aaj wo sab mere azadaron mein
main tujhe qatl ke iKHfa ki bata dun tadbir
baiTh ja aa ke yahan mere azadaron mein
koi TuTe hue dil ka nahin gahak 'safdar'
barha ja ke dikha laen hain bazaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.