kya tu ne mujhko ai falak-e-fitna-gar diya
kya tu ne mujhko ai falak-e-fitna-gar diya
Mirza Rahimuddin Haya
MORE BYMirza Rahimuddin Haya
kyā tū ne mujh ko ai falak-e-fitna-gar diyā
māshūq ik diyā thā so apnā sā kar diyā
kyā shikva āh-e-garm-o-dam-e-sard se karūñ
jo kuchh diyā ḳhudā ne mujhe be-asar diyā
sau baar ro ke ḳhālī kiyā dil ko hijr meñ
shauq-e-visāl-e-yār ne sau baar bhar diyā
vaañ shauq-e-zulm-o-jaur hai yaañ ḳhvāhish-e-sitam
donoñ ko ek sā hai ḳhudā ne jigar diyā
lag jaa.e dil ko aag ki apnī tarah mujhe
betāb-o-be-tahammul o be-sabr kar diyā
jaltā nahīñ hai haa.e ḳhudāyā dil-e-raqīb
kaisā ye tū ne hai nafas-e-sho.ala-var diyā
dil ye hai koī ek balā kā banā huā
bigḌī jo yaar se to mujhe aage dhar diyā
ai chashm tū ne qahr kiyā zabt kar ke ashk
zaḳhm-e-jigar meñ aur namak le ke bhar diyā
koī na jāntā thā jahāñ meñ 'hayā' mujhe
āshiq butoñ kī chaah ne mash.hūr kar diyā
kya tu ne mujh ko ai falak-e-fitna-gar diya
mashuq ek diya tha so apna sa kar diya
kya shikwa aah-e-garm-o-dam-e-sard se karun
jo kuchh diya KHuda ne mujhe be-asar diya
sau bar ro ke KHali kiya dil ko hijr mein
shauq-e-visal-e-yar ne sau bar bhar diya
wan shauq-e-zulm-o-jaur hai yan KHwahish-e-sitam
donon ko ek sa hai KHuda ne jigar diya
lag jae dil ko aag ki apni tarah mujhe
betab-o-be-tahammul o be-sabr kar diya
jalta nahin hai hae KHudaya dil-e-raqib
kaisa ye tu ne hai nafas-e-shoala-war diya
dil ye hai koi ek bala ka bana hua
bigDi jo yar se to mujhe aage dhar diya
ai chashm tu ne qahr kiya zabt kar ke ashk
zaKHm-e-jigar mein aur namak le ke bhar diya
koi na jaanta tha jahan mein 'haya' mujhe
aashiq buton ki chah ne mashhur kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.