kya udasi dil-e-bezar mein rah jati hai
kyā udāsī dil-e-bezār meñ rah jaatī hai
nahīñ ye jhuuT hai kirdār meñ rah jaatī hai
dūsrī or nahīñ ab koī sunñe vaalā
ab to āvāz bhī dīvār meñ rah jaatī hai
mere hote hue marne kā ḳhayāl aaya use
kuchh kamī hai jo mire pyaar meñ rah jaatī hai
pyaar lagtā hai magar zaḳhm hī hotā hai vo
ḳhūbī ye us ke har ik vaar meñ rah jaatī hai
bas samajhdārī ko hal kahtā hai har mushkil kā
ye ġhalat-fahmī samajhdār meñ rah jaatī hai
kya udasi dil-e-bezar mein rah jati hai
nahin ye jhuT hai kirdar mein rah jati hai
dusri or nahin ab koi sunne wala
ab to aawaz bhi diwar mein rah jati hai
mere hote hue marne ka KHayal aaya use
kuchh kami hai jo mere pyar mein rah jati hai
pyar lagta hai magar zaKHm hi hota hai wo
KHubi ye us ke har ek war mein rah jati hai
bas samajhdari ko hal kahta hai har mushkil ka
ye ghalat-fahmi samajhdar mein rah jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.