kya waqt-e-sahar hausla baqi ho dua ka
kyā vaqt-e-sahar hausla baaqī ho duā kā
jab kar ke duā dekhte hoñ rū-e-sahar ham
tū chāñd se behtar hai ki raunaq tire muñh par
paate haiñ fuzūñ shaam se bhī vaqt-e-sahar ham
ban-Than ke ho vo rashk-e-parī sāmne jis dam
kyoñ ġhash hameñ aa jaa.e na āḳhir haiñ bashar ham
darbānoñ kī shafqat se rihā.ī nahīñ hotī
barsoñ meñ kisī din use paate haiñ agar ham
har vaz.a ke insāñ se mulāqāt hai un ko
sab ḳhalq mudārāt ke qābil hai magar ham
jaate kidhar ātish-kada-e-ishq se uḌ kar
mānind samundar ke agar rakhte bhī par ham
ab chain se sonā tah-e-aflāk hamesha
ai ahl-e-zamīñ muzhda ho tum ko ga.e mar ham
dekhe haiñ magar bikhre hue baal kisī ke
kuchh aaj 'shahīdī' kā ajab haal hai darham
kya waqt-e-sahar hausla baqi ho dua ka
jab kar ke dua dekhte hon ru-e-sahar hum
tu chand se behtar hai ki raunaq tere munh par
pate hain fuzun sham se bhi waqt-e-sahar hum
ban-Than ke ho wo rashk-e-pari samne jis dam
kyon ghash hamein aa jae na aaKHir hain bashar hum
darbanon ki shafqat se rihai nahin hoti
barson mein kisi din use pate hain agar hum
har waza ke insan se mulaqat hai un ko
sab KHalq mudaraat ke qabil hai magar hum
jate kidhar aatish-kada-e-ishq se uD kar
manind samundar ke agar rakhte bhi par hum
ab chain se sona tah-e-aflak hamesha
ai ahl-e-zamin muzhda ho tum ko gae mar hum
dekhe hain magar bikhre hue baal kisi ke
kuchh aaj 'shahidi' ka ajab haal hai darham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.