kya wo mazi bhula chuka hun main
kyā vo maazī bhulā chukā huuñ maiñ
kaun se ghar meñ aa gayā huuñ maiñ
apnī hī zaat kī fasīloñ se
roz Takrā ke TūTtā huuñ maiñ
silsile āñdhiy.oñ ke TuuTe haiñ
jab bhī ik diip sā jalā huuñ maiñ
khan-khanāhaT meñ chand sikkoñ kī
apne raste se kab haTā huuñ maiñ
bujh ga.e haiñ charāġh ḳhvāboñ ke
aap apne meñ jal rahā huuñ maiñ
kya wo mazi bhula chuka hun main
kaun se ghar mein aa gaya hun main
apni hi zat ki fasilon se
roz Takra ke TuTta hun main
silsile aandhiyon ke TuTe hain
jab bhi ek dip sa jala hun main
khan-khanahaT mein chand sikkon ki
apne raste se kab haTa hun main
bujh gae hain charagh KHwabon ke
aap apne mein jal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.