kya yaadgar dil pe lagai KHarash hai
kya yaadgar dil pe lagai KHarash hai
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
kyā yādgār dil pe lagā.ī ḳharāsh hai
jarrāh-e-kam-hunar mujhe terī talāsh hai
saiqal-gar-e-zamāñ tū zarā mo'jiza dikhā
yādoñ ke aa.ine meñ koī paash paash hai
maazī kī sarhadoñ se pare jā ke ek din
pūchhūñgā apne aap se kyā būd-o-bāsh hai
kyā kījiyegā paḌh ke mirī ḳhud-navisht ko
likkhā varaq varaq pe agar aur kaash hai
is kashmakash meñ rahte haiñ fikr-o-qalam sadā
rakhnā bhī raaz hai use karnā bhī faash hai
be-rozgār hijr ke tājir ne kar diyā
mazdūr-e-vasl huuñ so talāsh-e-ma.āsh hai
qāb-e-jahāñ pe rakkhe phaloñ ne mujhe kahā
mehmān tere hisse meñ ik-ādh qaash hai
kya yaadgar dil pe lagai KHarash hai
jarrah-e-kam-hunar mujhe teri talash hai
saiqal-gar-e-zaman tu zara mo'jiza dikha
yaadon ke aaine mein koi pash pash hai
mazi ki sarhadon se pare ja ke ek din
puchhunga apne aap se kya bud-o-bash hai
kya kijiyega paDh ke meri KHud-nawisht ko
likkha waraq waraq pe agar aur kash hai
is kashmakash mein rahte hain fikr-o-qalam sada
rakhna bhi raaz hai use karna bhi fash hai
be-rozgar hijr ke tajir ne kar diya
mazdur-e-wasl hun so talash-e-maash hai
qab-e-jahan pe rakkhe phalon ne mujhe kaha
mehman tere hisse mein ik-adh qash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.