kya yahi hai jis pe hum dete hain jaan
kyā yahī hai jis pe ham dete haiñ jaañ
yā koī duniyā-e-fānī aur hai
yuuñ to har insān goyā hai magar
sheva-e-shevā-bayānī aur hai
chal rahī hai jis se jismānī machine
koī poshīda kamānī aur hai
dil ne paidā kī kahāñ se ye tarañg
koī tahrīk-e-nihānī aur hai
ġhair samjhā hai kise ai ham-nashīñ
mere dil meñ bad-gumānī aur hai
tum ne kab dekhā hai be-rañgī kā rañg
be nishānī kī nishānī aur hai
kya yahi hai jis pe hum dete hain jaan
ya koi duniya-e-fani aur hai
yun to har insan goya hai magar
shewa-e-shewa-bayani aur hai
chal rahi hai jis se jismani machine
koi poshida kamani aur hai
dil ne paida ki kahan se ye tarang
koi tahrik-e-nihani aur hai
ghair samjha hai kise ai ham-nashin
mere dil mein bad-gumani aur hai
tum ne kab dekha hai be-rangi ka rang
be nishani ki nishani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.