kya ye dekhen ki koi aur tamasha kya hai
kyā ye dekheñ ki koī aur tamāshā kyā hai
ham ko ḳhud apne alāva nazar aatā kyā hai
ba.az dariyāoñ ke manzar bhī ajab hote haiñ
aadmī sochtā rah jaa.e ki sahrā kyā hai
vo to achchhā hai ki ham hī ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ
varna in tez havāoñ kā bharosa kyā hai
bujh ga.e haiñ jo diye phir se jalā.eñ ki nahīñ
koī batlāo hameñ rañg havā kā kyā hai
ho mulāqāt aur ehsās-e-mulāqāt na ho
terā milnā jo yahī hai to bichhaḌnā kyā hai
dasht ke dhuup ne ham ko ye batāyā 'ḳhāvar'
apne ghar ke dar-o-dīvār kā saaya kyā hai
kya ye dekhen ki koi aur tamasha kya hai
hum ko KHud apne alawa nazar aata kya hai
baz dariyaon ke manzar bhi ajab hote hain
aadmi sochta rah jae ki sahra kya hai
wo to achchha hai ki hum hi KHas-o-KHashak nahin
warna in tez hawaon ka bharosa kya hai
bujh gae hain jo diye phir se jalaen ki nahin
koi batlao hamein rang hawa ka kya hai
ho mulaqat aur ehsas-e-mulaqat na ho
tera milna jo yahi hai to bichhaDna kya hai
dasht ke dhup ne hum ko ye bataya 'KHawar'
apne ghar ke dar-o-diwar ka saya kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.