kya zaKHm har ek dil ka dukhane ke liye hai
kyā zaḳhm har ik dil kā dukhāne ke liye hai
yā gulshan-e-tahzīb sajāne ke liye hai
kal apne taḌapne meñ bhī jauhar the balā ke
ab qissa-e-mauhūm sunāne ke liye hai
is raat pe paḌ jaa.eñ na sūraj kī shuā.eñ
ye raat to ḳhushbū se nahāne ke liye hai
fan ho to use zehn meñ mahfūz na rakhiye
ye sham.a sar-e-rāh jalāne ke liye hai
kya zaKHm har ek dil ka dukhane ke liye hai
ya gulshan-e-tahzib sajaane ke liye hai
kal apne taDapne mein bhi jauhar the bala ke
ab qissa-e-mauhum sunane ke liye hai
is raat pe paD jaen na suraj ki shuaen
ye raat to KHushbu se nahane ke liye hai
fan ho to use zehn mein mahfuz na rakhiye
ye shama sar-e-rah jalane ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.