kya zamana aa gaya hai aib bhi fan ho gae
kyā zamāna aa gayā hai 'aib bhī fan ho ga.e
ham jinheñ patthar samajhte the vo darpan ho ga.e
ghar ke kone meñ paḌe rahte haiñ ḳhāmoshī ke saath
āj-kal māñ-bāp bhī miTTī ke bartan ho ga.e
yuuñ taraqqī kī taraf ham ne baḌhā.e haiñ qadam
tang-dāman the hī ab to chāk-dāman ho ga.e
ai hukūmat is taraf kyā tū ne sochā hai kabhī
jo tire maddāh the kyoñ tere dushman ho ga.e
raat din tere liye jalnā hamārā kaam hai
ai siyāsat ham tire chūlhe kā īñdhan ho ga.e
aadmī in ko pahantā hai libāsoñ kī tarah
jhuuT 'ayyārī fareb-o-makr fashion ho ga.e
media vāloñ ne aisā khel khelā dharm kā
jin meñ kal tak dostī thī aaj dushman ho ga.e
kya zamana aa gaya hai 'aib bhi fan ho gae
hum jinhen patthar samajhte the wo darpan ho gae
ghar ke kone mein paDe rahte hain KHamoshi ke sath
aaj-kal man-bap bhi miTTi ke bartan ho gae
yun taraqqi ki taraf hum ne baDhae hain qadam
tang-daman the hi ab to chaak-daman ho gae
ai hukumat is taraf kya tu ne socha hai kabhi
jo tere maddah the kyon tere dushman ho gae
raat din tere liye jalna hamara kaam hai
ai siyasat hum tere chulhe ka indhan ho gae
aadmi in ko pahanta hai libason ki tarah
jhuT 'ayyari fareb-o-makr fashion ho gae
media walon ne aisa khel khela dharm ka
jin mein kal tak dosti thi aaj dushman ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.