kya zamane se tawaqqo rakhen achchhai ki
kyā zamāne se tavaqqo rakheñ achchhā.ī kī
ye to duniyā hai na apnoñ kī na harjā.ī kī
jab se duniyā ne mashīnoñ se shanāsā.ī kī
sab kī āñkhoñ meñ thakan dekhī hai tanhā.ī kī
ik paḌāv hai ghaḌī-do-ghaḌī dam lene ko
vo giraftār huā jis ne shanāsā.ī kī
mansab-o-jubba-o-dastār pe mauqūf nahīñ
shaḳhsiyat asl to hai qāmat-e-zebā.ī kī
vo to ḳhushbū thī bikharnā thā muqaddar us kā
ye nasīb us kā jo gulshan ne pazīrā.ī kī
jo sar-e-bazm kahā daar pe dohrāyā vahī
merī guftār meñ jur.at rahī sachchā.ī kī
ghaav bharne the jinheñ le ke vo nashtar aa.e
kis masīhā se rakheñ aas masīhā.ī kī
ab kahāñ sarmad-o-mansūr se āshufta-mizāj
rasm farzānoñ ne Daalī hai shakebā.ī kī
dekhne se kahāñ khultā hai samundar kā mizāj
Duub kar baat khulā kartī hai gahrā.ī kī
jāntā huuñ ki 'karāmat' hai mire mansab kī
jo harīfoñ ne sar-e-bazm pazīrā.ī kī
kya zamane se tawaqqo rakhen achchhai ki
ye to duniya hai na apnon ki na harjai ki
jab se duniya ne mashinon se shanasai ki
sab ki aankhon mein thakan dekhi hai tanhai ki
ek paDaw hai ghaDi-do-ghaDi dam lene ko
wo giraftar hua jis ne shanasai ki
mansab-o-jubba-o-dastar pe mauquf nahin
shaKHsiyat asl to hai qamat-e-zebai ki
wo to KHushbu thi bikharna tha muqaddar us ka
ye nasib us ka jo gulshan ne pazirai ki
jo sar-e-bazm kaha dar pe dohraya wahi
meri guftar mein jurat rahi sachchai ki
ghaw bharne the jinhen le ke wo nashtar aae
kis masiha se rakhen aas masihai ki
ab kahan sarmad-o-mansur se aashufta-mizaj
rasm farzanon ne Dali hai shakebai ki
dekhne se kahan khulta hai samundar ka mizaj
Dub kar baat khula karti hai gahrai ki
jaanta hun ki 'karamat' hai mere mansab ki
jo harifon ne sar-e-bazm pazirai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.