kya zarurat thi tujhe sath mere marne ki
kyā zarūrat thī tujhe saath mire marne kī
jab tire paas nahīñ baat koī karne kī
tū ne hoñToñ ko lagāyā hī nahīñ hoñToñ se
mere siine ko zarūrat thī havā bharne kī
apnī aahaT se hī ghabrā.e hue rahtā huuñ
varna raste meñ koī chiiz nahīñ Darne kī
aaj lagtā hai ki bastī se guzar hogā mirā
ret pairoñ meñ jo aa.ī hai kisī jharne kī
kya zarurat thi tujhe sath mere marne ki
jab tere pas nahin baat koi karne ki
tu ne honTon ko lagaya hi nahin honTon se
mere sine ko zarurat thi hawa bharne ki
apni aahaT se hi ghabrae hue rahta hun
warna raste mein koi chiz nahin Darne ki
aaj lagta hai ki basti se guzar hoga mera
ret pairon mein jo aai hai kisi jharne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.