kya zist aab-o-rang ka dhoka kahen jise
kyā ziist āb-o-rang kā dhokā kaheñ jise
ahl-e-nigāh ḳhvāb-e-zuleḳhā kaheñ jise
kam-mā.igī-e-jur.at-e-dīdār kī qasam
dekhā hai yuuñ unheñ ki na dekhā kaheñ jise
ik umr ke talātum-e-jazbāt kā nichoḌ
palkoñ pe hai vo buuñd ki dariyā kaheñ jise
hasrat bharī nazar ne unheñ dekh dekh kar
aisā banā liyā hai ki apnā kaheñ jise
ik qalb-e-muztarib ki labālab hai misl-e-jām
ik chashm-e-bāda-rez ki miinā kaheñ jise
āñkhoñ pe kyā ho ahl-e-basīrat ko e.atibār
vo jalvagī hai aaj ki pardā kaheñ jise
nazzāra-hā.e-husn kā hāsil na pūchhiye
ik ḳhīrgī matā.a-e-tamāshā kaheñ jise
kis kī nazar kā fitna-e-shorish-pasand hai
ye mahshar-e-hayāt ki duniyā kaheñ jise
baḳhshī hai dil ke zaḳhm ko tere ḳhayāl ne
vo tāzgī ki jān-e-tamannā kaheñ jise
naala yahī hai jab to asar kā savāl kyā
ik aisī kaifiyat hai ki naġhma kaheñ jise
phaile to kā.enāt hai simTe to ik nigāh
ye nāz-e-husn ek kināya kaheñ jise
zarra bhī naaz kartā hai apne vajūd par
muTThī meñ hai vo chiiz ki sahrā kaheñ jise
bā iiñ hama numūd-e-sharar zindagī hai kyā
ik khel āb-o-gil kā tamāshā kaheñ jise
ik tifl-e-sāda-dil ke gharauñde kī tarah hai
'safdar' ye musht-e-ḳhāk ki duniyā kaheñ jise
kya zist aab-o-rang ka dhoka kahen jise
ahl-e-nigah KHwab-e-zuleKHa kahen jise
kam-maigi-e-jurat-e-didar ki qasam
dekha hai yun unhen ki na dekha kahen jise
ek umr ke talatum-e-jazbaat ka nichoD
palkon pe hai wo bund ki dariya kahen jise
hasrat bhari nazar ne unhen dekh dekh kar
aisa bana liya hai ki apna kahen jise
ek qalb-e-muztarib ki labaalab hai misl-e-jam
ek chashm-e-baada-rez ki mina kahen jise
aankhon pe kya ho ahl-e-basirat ko eatibar
wo jalwagi hai aaj ki parda kahen jise
nazzara-hae-husn ka hasil na puchhiye
ek KHirgi mataa-e-tamasha kahen jise
kis ki nazar ka fitna-e-shorish-pasand hai
ye mahshar-e-hayat ki duniya kahen jise
baKHshi hai dil ke zaKHm ko tere KHayal ne
wo tazgi ki jaan-e-tamanna kahen jise
nala yahi hai jab to asar ka sawal kya
ek aisi kaifiyat hai ki naghma kahen jise
phaile to kaenat hai simTe to ek nigah
ye naz-e-husn ek kinaya kahen jise
zarra bhi naz karta hai apne wajud par
muTThi mein hai wo chiz ki sahra kahen jise
ba in hama numud-e-sharar zindagi hai kya
ek khel aab-o-gil ka tamasha kahen jise
ek tifl-e-sada-dil ke gharaunde ki tarah hai
'safdar' ye musht-e-KHak ki duniya kahen jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.