kya zubun haal-e-dil-e-ranjur hai
kya zubun haal-e-dil-e-ranjur hai
Raja Girdhari Parsad Baqi
MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi
kyā zubūñ hāl-e-dil-e-ranjūr hai
daaġh dil meñ daaġh meñ nāsūr hai
dār-bast-e-tāk hai siina mirā
dil kā chhālā dāna-e-angūr hai
ishq kā rasta kaTegā kis tarah
thak ga.e haiñ paañv manzil duur hai
vāste zaḳhm-e-dil-e-mahrūr ke
sard-mehrī marham-e-kāfūr hai
surma dilvāte haiñ mere haath se
qadr mardum meñ mirī manzūr hai
jab se rahtā hai ḳhayāl-e-rū-e-yār
ḳhāna-e-dil nuur se māmūr hai
gar savād-e-zulf hai shām-e-hirāt
saaf gar din sub.h-e-nīshā-pūr hai
aa.ine kā muñh to dekho bazm meñ
rū-ba-rū ho us kī kyā maqdūr hai
mast ik mutrib-pisar ne kar diyā
kāsa-e-mai kāsā-e-tanbūr hai
bā.is-e-jauhar huā ye imtiyāz
varna jo patthar hai so billor hai
hind vāloñ se na kar 'bāqī' ġhurūr
tū abhī nādāñ hai dehlī duur hai
kya zubun haal-e-dil-e-ranjur hai
dagh dil mein dagh mein nasur hai
dar-bast-e-tak hai sina mera
dil ka chhaala dana-e-angur hai
ishq ka rasta kaTega kis tarah
thak gae hain panw manzil dur hai
waste zaKHm-e-dil-e-mahrur ke
sard-mehri marham-e-kafur hai
surma dilwate hain mere hath se
qadr mardum mein meri manzur hai
jab se rahta hai KHayal-e-ru-e-yar
KHana-e-dil nur se mamur hai
gar sawad-e-zulf hai sham-e-hiraat
saf gar din subh-e-nisha-pur hai
aaine ka munh to dekho bazm mein
ru-ba-ru ho us ki kya maqdur hai
mast ek mutrib-pisar ne kar diya
kasa-e-mai kasa-e-tanbur hai
bais-e-jauhar hua ye imtiyaz
warna jo patthar hai so billor hai
hind walon se na kar 'baqi' ghurur
tu abhi nadan hai dehli dur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.