kya zulm hai ki zulm pe koi fughan na ho
kyā zulm hai ki zulm pe koī fuġhāñ na ho
lab hoñ nazar ho kaan hoñ lekin zabāñ na ho
ik sā.ebān aur kahīñ DhūñDhtā huuñ maiñ
mumkin hai kal uḌaan ko ye āsmāñ na ho
dekho jahāñ-panāh zamāne kī gardisheñ
tum ko mile panāh jahāñ vo makāñ na ho
sab sārbān raḳht-e-safar bāñdhne ko haiñ
kuchh dhaḌkanoñ kī baat hai yuuñ sargirāñ na ho
yuuñ lauh-e-dil pe sabt kiyā hai tumhārā 'aks
ojhal sahī nigāh se lekin nihāñ na ho
ye ehtiyāt 'ishq meñ lāzim hai har ghaḌī
āñkhoñ kī vārdāt zabāñ se bayāñ na ho
pākīza maiñ ne jaam ko thāmā hai mohtasib
pākīzgī kī baat hai to bad-gumāñ na ho
'hammād' ke nasīb meñ ye fursateñ kahāñ
barkhā kī rut ho aur tumhārā dhiyāñ na ho
kya zulm hai ki zulm pe koi fughan na ho
lab hon nazar ho kan hon lekin zaban na ho
ek saeban aur kahin DhunDhta hun main
mumkin hai kal uDan ko ye aasman na ho
dekho jahan-panah zamane ki gardishen
tum ko mile panah jahan wo makan na ho
sab sarban raKHt-e-safar bandhne ko hain
kuchh dhaDkanon ki baat hai yun sargiran na ho
yun lauh-e-dil pe sabt kiya hai tumhaara 'aks
ojhal sahi nigah se lekin nihan na ho
ye ehtiyat 'ishq mein lazim hai har ghaDi
aankhon ki wardat zaban se bayan na ho
pakiza main ne jam ko thama hai mohtasib
pakizgi ki baat hai to bad-guman na ho
'hammad' ke nasib mein ye fursaten kahan
barkha ki rut ho aur tumhaara dhiyan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.