kyon aashufta sar baiTha hun
kyoñ āshufta sar baiThā huuñ
kuchh to aisā kar baiThā huuñ
shaam ka sūraj Dhalne lagā hai
le kar chashm-e-tar baiThā huuñ
koī huā ka jhoñkā aa.e
khole saare dar baiThā huuñ
ghar jaane kī bhī jaldī hai
khol ke bhī daftar baiThā huuñ
tez havā meñ laḌnā bhī hai
kaaT ke saare par baiThā huuñ
yā'nī tujh se 'ishq kiyā hai
jiinā dūbhar kar baiThā huuñ
aabid maut se kyā Darnā hai
pahle hī maiñ mar baiThā huuñ
kyon aashufta sar baiTha hun
kuchh to aisa kar baiTha hun
sham ka suraj Dhalne laga hai
le kar chashm-e-tar baiTha hun
koi hua ka jhonka aae
khole sare dar baiTha hun
ghar jaane ki bhi jaldi hai
khol ke bhi daftar baiTha hun
tez hawa mein laDna bhi hai
kaT ke sare par baiTha hun
ya'ni tujh se 'ishq kiya hai
jina dubhar kar baiTha hun
aabid maut se kya Darna hai
pahle hi main mar baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.