kyon abas taq mein rakha mujhko
kyoñ abas taaq meñ rakhā mujh ko
maiñ diyā huuñ to phir jalā mujh ko
dil na ho jaa.e bad-gumāñ tujh se
is qadar bhī na aazmā mujh ko
munjamid ho rahā huuñ andar hī
zindagī ab zarā rulā mujh ko
sarsarī ik nigāh Daalī bas
us ne kab ġhaur se paḌhā mujh ko
maiñ ne jaañ tak nisār kī tujh par
zindagī tū ne kyā diyā mujh ko
jo ḳhatā.eñ thiiñ sab usī kī thiiñ
aur miltī rahī sazā mujh ko
DhūñDne us ko maiñ kahāñ jā.ūñ
ab to merā nahīñ pata mujh ko
chhoḌ kar mujh ko vo pareshāñ hai
jab sunā to burā lagā mujh ko
vaqt kī qadr kī nahīñ maiñ ne
umr bhar ye qalaq rahā mujh ko
sab mire ḳhair-ḳhvāh the to phir
shahr kyoñ chhoḌnā paḌā mujh ko
chaah kar bhī palaT na paayā maiñ
koī detā rahā sadā mujh ko
dhuup mujh se na rah tū sharminda
tujh se koī nahīñ gila mujh ko
vaqt ke zaḳhm itne tan par the
dekhtī rah ga.ī qazā mujh ko
merī vahshat ko ye nahīñ kaafī
dasht kuchh aur de ghanā mujh ko
kyon abas taq mein rakha mujh ko
main diya hun to phir jala mujh ko
dil na ho jae bad-guman tujh se
is qadar bhi na aazma mujh ko
munjamid ho raha hun andar hi
zindagi ab zara rula mujh ko
sarsari ek nigah Dali bas
us ne kab ghaur se paDha mujh ko
main ne jaan tak nisar ki tujh par
zindagi tu ne kya diya mujh ko
jo KHataen thin sab usi ki thin
aur milti rahi saza mujh ko
DhunDne us ko main kahan jaun
ab to mera nahin pata mujh ko
chhoD kar mujh ko wo pareshan hai
jab suna to bura laga mujh ko
waqt ki qadr ki nahin main ne
umr bhar ye qalaq raha mujh ko
sab mere KHair-KHwah the to phir
shahr kyon chhoDna paDa mujh ko
chah kar bhi palaT na paya main
koi deta raha sada mujh ko
dhup mujh se na rah tu sharminda
tujh se koi nahin gila mujh ko
waqt ke zaKHm itne tan par the
dekhti rah gai qaza mujh ko
meri wahshat ko ye nahin kafi
dasht kuchh aur de ghana mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.