kyon amiron se mera ghar nahin dekha jata
kyoñ amīroñ se mirā ghar nahīñ dekhā jaatā
mere ghar par paḌā chhappar nahīñ dekhā jaatā
apne hāthoñ meñ to shamshīr uThā rakkhī hai
auroñ ke haath meñ patthar nahīñ dekhā jaatā
ḳhud se uupar use dekheñge bhalā ham kaise
apne bhaa.ī ko barābar nahīñ dekhā jaatā
haath bhī rakhtā nahīñ jin ke saroñ par koī
aise bachchoñ kā muqaddar nahīñ dekhā jaatā
maar deñ us ko yā phir ḳhud hī fanā ho jaa.eñ
ham se ab koī sitamgar nahīñ dekhā jaatā
zindagī bhar vo kināre pe khaḌe rahte haiñ
jin se bebāk samundar nahīñ dekhā jaatā
ham ne āñkhoñ pe amīrī kā lagāyā chashma
ham se ab koī bhī kamtar nahīñ dekhā jaatā
baa'd marne ke jo ā.eñge manāzir 'ātif'
kyoñ unheñ pahle hī mar kar nahīñ dekhā jaatā
kyon amiron se mera ghar nahin dekha jata
mere ghar par paDa chhappar nahin dekha jata
apne hathon mein to shamshir uTha rakkhi hai
auron ke hath mein patthar nahin dekha jata
KHud se upar use dekhenge bhala hum kaise
apne bhai ko barabar nahin dekha jata
hath bhi rakhta nahin jin ke saron par koi
aise bachchon ka muqaddar nahin dekha jata
mar den us ko ya phir KHud hi fana ho jaen
hum se ab koi sitamgar nahin dekha jata
zindagi bhar wo kinare pe khaDe rahte hain
jin se bebak samundar nahin dekha jata
hum ne aankhon pe amiri ka lagaya chashma
hum se ab koi bhi kamtar nahin dekha jata
ba'd marne ke jo aaenge manazir 'atif'
kyon unhen pahle hi mar kar nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.