kyon baad-e-muKhaalif se larzan-o-pareshan ho
kyon baad-e-muKhaalif se larzan-o-pareshan ho
Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
MORE BYSyed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
kyoñ bād-e-muḳhālif se larzāñ-o-pareshāñ ho
jo sāhib-e-qurāñ ho phir kyoñ vo hirāsāñ ho
girdāb-e-havādis kā us ko ho bhalā kyā ġham
jo aap hī sāhil ho aur aap hī tūfāñ ho
siine meñ azā.em ke tūfāñ jo chhupā.e ho
ḳhātir meñ vo kyā laa.e sahrā ho bayābāñ ho
dukh-dard zamāne kā samjhegā bhalā vo kyā
insāñ se jise nafrat kahne ko to insāñ ho
haiñ ḳhāk-nashīnoñ kī Thokar meñ mah-o-anjum
samjhegā vahī lekin jo sāhab-e-irfāñ ho
kyā tum ko ḳhabar kitnī dushvār huiiñ rāheñ
yaañ us ke liye yaaro jo sāhab-e-īmāñ ho
chhaT jā.egī ik din ye māhaul kī tārīkī
ik sham-e-yaqīñ yaaro bas dil meñ farozāñ ho
phir zarb-e-kalīmī se larzāñ hoñ sanam-ḳhāne
kāshāna-e-vahdat meñ phir aaj charāġhāñ ho
jiinā hai 'ziyā' tum ko auroñ ke liye jiinā
kuchh dukh kā mudāvā ho kuchh dard kā darmāñ ho
kyon baad-e-muKHalif se larzan-o-pareshan ho
jo sahib-e-quran ho phir kyon wo hirasan ho
girdab-e-hawadis ka us ko ho bhala kya gham
jo aap hi sahil ho aur aap hi tufan ho
sine mein azaem ke tufan jo chhupae ho
KHatir mein wo kya lae sahra ho bayaban ho
dukh-dard zamane ka samjhega bhala wo kya
insan se jise nafrat kahne ko to insan ho
hain KHak-nashinon ki Thokar mein mah-o-anjum
samjhega wahi lekin jo sahab-e-irfan ho
kya tum ko KHabar kitni dushwar huin rahen
yan us ke liye yaro jo sahab-e-iman ho
chhaT jaegi ek din ye mahaul ki tariki
ek sham-e-yaqin yaro bas dil mein farozan ho
phir zarb-e-kalimi se larzan hon sanam-KHane
kashana-e-wahdat mein phir aaj charaghan ho
jina hai 'ziya' tum ko auron ke liye jina
kuchh dukh ka mudawa ho kuchh dard ka darman ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.