kyon bewafa ko DhunDhen wafaon ke shahr mein
kyoñ bevafā ko DhūñDheñ vafāoñ ke shahr meñ
insāñ kahāñ milegā ḳhudāoñ ke shahr meñ
is justujū meñ koī to chehra nazar paḌe
ham phir rahe haiñ kab se havāoñ ke shahr meñ
mumkin hai vaqt āmad-e-tūfāñ kī de ḳhabar
kitnī ghuTan hai aaj havāoñ ke shahr meñ
ham apne dil kā sāz-e-shikasta liye hue
phirte haiñ kab se naġhma-sarāoñ ke shahr meñ
hāsil jinheñ amal kī haiñ mojiz-numā.iyāñ
dekhe haiñ vo bhī log duāoñ ke shahr meñ
majbūrī-e-hayāt 'vasī' is kā naam hai
aa.e haiñ bhiik lene gadāoñ ke shahr meñ
kyon bewafa ko DhunDhen wafaon ke shahr mein
insan kahan milega KHudaon ke shahr mein
is justuju mein koi to chehra nazar paDe
hum phir rahe hain kab se hawaon ke shahr mein
mumkin hai waqt aamad-e-tufan ki de KHabar
kitni ghuTan hai aaj hawaon ke shahr mein
hum apne dil ka saz-e-shikasta liye hue
phirte hain kab se naghma-saraon ke shahr mein
hasil jinhen amal ki hain mojiz-numaiyan
dekhe hain wo bhi log duaon ke shahr mein
majburi-e-hayat 'wasi' is ka nam hai
aae hain bhik lene gadaon ke shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.