kyon bigaDi baat ulTi baat se
kyoñ bigāḌī baat ulTī baat se
ban rahī thī baat sīdhī baat se
jhuuT ko sach baat maiñ ne kyā kahā
sab hue hairān merī baat se
kyā 'ajab haiñ bhūke mere desh ke
bhar rahe haiñ peT ḳhālī baat se
kis qadar jaldī meñ hai ye aadmī
tang aa jaatā hai aadhī baat se
haar kar dil se huā ehsās ye
kuchh nahīñ bantā siyāsī baat se
an-sunā mujh ko kiyā aur ye kahā
muttafiq huuñ maiñ tumhārī baat se
ab hamāre kaam ke tum ho nahīñ
bhar gayā hai dil tumhārī baat se
kyon bigaDi baat ulTi baat se
ban rahi thi baat sidhi baat se
jhuT ko sach baat main ne kya kaha
sab hue hairan meri baat se
kya 'ajab hain bhuke mere desh ke
bhar rahe hain peT KHali baat se
kis qadar jaldi mein hai ye aadmi
tang aa jata hai aadhi baat se
haar kar dil se hua ehsas ye
kuchh nahin banta siyasi baat se
an-suna mujh ko kiya aur ye kaha
muttafiq hun main tumhaari baat se
ab hamare kaam ke tum ho nahin
bhar gaya hai dil tumhaari baat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.