kyon dair-o-haram mein danai aasan bhi hai aur mushkil bhi
kyon dair-o-haram mein danai aasan bhi hai aur mushkil bhi
Mohammad Tariq Ghazi
MORE BYMohammad Tariq Ghazi
kyoñ dair-o-haram meñ dānā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
kyoñ kūcha-e-dil meñ rusvā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
kal sehn-e-haram meñ kahtā thā ye pīr-e-ḳhirad farzānoñ se
zehnoñ par dil kī dārā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
hai jism savārī-e-dil ke liye aur ilm hai zād-e-rāh-e-talab
is raah meñ honā saudā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
dozaḳh se jhijak jannat kī talab jazbāt ke do paimāne haiñ
do samtoñ meñ rah-paimā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
bū-jahl nahīñ fir.aun nahīñ namrūd nahīñ lekin phir bhī
īmān kī harakat-īmā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
kuchh hijr kī rāteñ kaaTī haiñ kuchh dard kī dhuup sameTī hai
duniyā meñ dukh kī pazīrā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
bālā-e-nazar aur zer-e-nazar do mus.haf-e-haq insān kā haq
tashrīh meñ aql kī ḳhud-rā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
ik daftar-e-sāda sāmne hai kuchh zer-e-nazar kuchh pesh-e-nazar
is meñ kuchh ḳhāma-farsā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
jab ilm bike bāzāroñ meñ aur aql tule aḳhbāroñ meñ
tab insāñ kī qadr-afzā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
ye kaun hai jo mahfil mahfil har sach ko jhuuT banātā hai
kis ke ma.anī kī yakjā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
maiñ tanhā bhī huuñ sahrā meñ aur terī yaad kā saath bhī hai
is dasht meñ yā-rab tanhā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
sar kā sajda sub.hān-allāh aur dil kā sajda ruuh kā raaz
kaunain meñ ye jab.ha-sā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
vahdat ke tamannā.ī 'tāriq' is dar pe kabhī us dar pe kabhī
dar dar un kī jab.ha-sā.ī āsān bhī hai aur mushkil bhī
kyon dair-o-haram mein danai aasan bhi hai aur mushkil bhi
kyon kucha-e-dil mein ruswai aasan bhi hai aur mushkil bhi
kal sehn-e-haram mein kahta tha ye pir-e-KHirad farzanon se
zehnon par dil ki darai aasan bhi hai aur mushkil bhi
hai jism sawari-e-dil ke liye aur ilm hai zad-e-rah-e-talab
is rah mein hona saudai aasan bhi hai aur mushkil bhi
dozaKH se jhijak jannat ki talab jazbaat ke do paimane hain
do samton mein rah-paimai aasan bhi hai aur mushkil bhi
bu-jahl nahin firaun nahin namrud nahin lekin phir bhi
iman ki harakat-imai aasan bhi hai aur mushkil bhi
kuchh hijr ki raaten kaTi hain kuchh dard ki dhup sameTi hai
duniya mein dukh ki pazirai aasan bhi hai aur mushkil bhi
baala-e-nazar aur zer-e-nazar do mushaf-e-haq insan ka haq
tashrih mein aql ki KHud-rai aasan bhi hai aur mushkil bhi
ek daftar-e-sada samne hai kuchh zer-e-nazar kuchh pesh-e-nazar
is mein kuchh KHama-farsai aasan bhi hai aur mushkil bhi
jab ilm bike bazaron mein aur aql tule aKHbaron mein
tab insan ki qadr-afzai aasan bhi hai aur mushkil bhi
ye kaun hai jo mahfil mahfil har sach ko jhuT banata hai
kis ke mani ki yakjai aasan bhi hai aur mushkil bhi
main tanha bhi hun sahra mein aur teri yaad ka sath bhi hai
is dasht mein ya-rab tanhai aasan bhi hai aur mushkil bhi
sar ka sajda subhan-allah aur dil ka sajda ruh ka raaz
kaunain mein ye jabha-sai aasan bhi hai aur mushkil bhi
wahdat ke tamannai 'tariq' is dar pe kabhi us dar pe kabhi
dar dar un ki jabha-sai aasan bhi hai aur mushkil bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.