kyon doston ki bazm mein aate nahin ho tum
kyon doston ki bazm mein aate nahin ho tum
Taj Muhammad Siddiqui
MORE BYTaj Muhammad Siddiqui
kyoñ dostoñ kī bazm meñ aate nahīñ ho tum
ab dostī kā haath baḌhāte nahīñ ho tum
ab ḳhvāb meñ bhī mujh ko satāte nahīñ ho tum
kyoñ dil ye pahle jaisā dukhāte nahīñ ho tum
har dam udaas rahte ho kyā baat ho ga.ī
muzhda koī ḳhushī kā sunāte nahīñ ho tum
kyoñ tham gayā hai dost mohabbat kā kārvāñ
ab mahfileñ adab kī sajāte nahīñ ho tum
ham ko tumhārī baat pe kaise yaqīn ho
sunte haiñ apnā 'ahd nibhāte nahīñ ho tum
kyon doston ki bazm mein aate nahin ho tum
ab dosti ka hath baDhate nahin ho tum
ab KHwab mein bhi mujh ko satate nahin ho tum
kyon dil ye pahle jaisa dukhate nahin ho tum
har dam udas rahte ho kya baat ho gai
muzhda koi KHushi ka sunate nahin ho tum
kyon tham gaya hai dost mohabbat ka karwan
ab mahfilen adab ki sajate nahin ho tum
hum ko tumhaari baat pe kaise yaqin ho
sunte hain apna 'ahd nibhate nahin ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.