kyon faqat bigDe hue haalat ka charcha karen
kyoñ faqat bigḌe hue hālāt kā charchā kareñ
aao ham kuchh dahr meñ behtar kareñ achchhā kareñ
ḳhud tahī-dāman sahī lekin unheñ ai yār-e-man
qīmtī afkār meñ taulā kareñ naapā kareñ
ā.īye chaliye hamāre ghar zarā sun lījiye
haq bhī kahne ke liye is daur meñ parda kareñ
dhuup kī shiddat pe ho tanqīd jaa.ez hai magar
jaur haiñ saa.e meñ kah do vo zarā niklā kareñ
sab kī muTThī meñ agar taqdīr un kī hai to phir
kyoñ gile shikve kareñ ham kyoñ ye vāvailā kareñ
tīrgī hī tīrgī manzil-ba-manzil duur tak
muskurā deñ vo tabī.at se zarā aisā kareñ
ham ne jo chāhā kiyā jo chāheñge hogā yūñhī
dekhne vaale hameñ dekhā kareñ dekhā kareñ
kyon faqat bigDe hue haalat ka charcha karen
aao hum kuchh dahr mein behtar karen achchha karen
KHud tahi-daman sahi lekin unhen ai yar-e-man
qimti afkar mein taula karen napa karen
aaiye chaliye hamare ghar zara sun lijiye
haq bhi kahne ke liye is daur mein parda karen
dhup ki shiddat pe ho tanqid jaez hai magar
jaur hain sae mein kah do wo zara nikla karen
sab ki muTThi mein agar taqdir un ki hai to phir
kyon gile shikwe karen hum kyon ye wawaila karen
tirgi hi tirgi manzil-ba-manzil dur tak
muskura den wo tabiat se zara aisa karen
hum ne jo chaha kiya jo chahenge hoga yunhi
dekhne wale hamein dekha karen dekha karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.