kyon guftugu mein lahja-e-tar lag nahin raha
kyoñ guftugū meñ lahja-e-tar lag nahīñ rahā
bātoñ meñ terī aaj asar lag nahīñ rahā
do chaar miil maiñ tirī jānib chalūñ magar
do chaar miil kā ye safar lag nahīñ rahā
maiñ ḳhūb-rū javān thā ye māniye janāb
tasvīr dekh lījiye gar lag nahīñ rahā
ḳhūn-e-jigar pilā diyā is ko magar abhī
jaisā maiñ chāhtā huuñ shajar lag nahīñ rahā
jab se makīn-e-qalb ne chhoḌā hai apnā ghar
dil misl-e-reg-zār hai ghar lag nahīñ rahā
tere baġhair shahr meñ har ek se 'munīr'
maiñ dil lagā rahā huuñ magar lag nahīñ rahā
kyon guftugu mein lahja-e-tar lag nahin raha
baaton mein teri aaj asar lag nahin raha
do chaar mil main teri jaanib chalun magar
do chaar mil ka ye safar lag nahin raha
main KHub-ru jawan tha ye maniye janab
taswir dekh lijiye gar lag nahin raha
KHun-e-jigar pila diya is ko magar abhi
jaisa main chahta hun shajar lag nahin raha
jab se makin-e-qalb ne chhoDa hai apna ghar
dil misl-e-reg-zar hai ghar lag nahin raha
tere baghair shahr mein har ek se 'munir'
main dil laga raha hun magar lag nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.