kyon hai chilman se nikale ruKH-e-taban koi
kyoñ hai chilman se nikāle ruḳh-e-tābāñ koī
kyā nikalne ko hai dil se mire armāñ koī
chhoḌ kar merī taraf nāvak-e-mizhgāñ koī
ho gayā lene ko tayyār dil-o-jāñ koī
dahan-e-zaḳhm meñ bhar aa.e na paanī kyūñkar
duur se mujh ko dikhātā hai namak-dāñ koī
mar rahūñ hogī jabhī mujh ko rihā.ī ġham se
aur to koī na sūrat hai na unvāñ koī
dil ye samjhā ki aniis ek ḳhudā ne bhejā
TuuT kar rah gayā pahlū meñ jo paikāñ koī
baiTh kar ġhaur se kyoñ dekh rahe ho mujh ko
sochte kyā ho mire dard kā darmāñ koī
rakhte haiñ tark-e-mohabbat kā vo mujh par ilzām
jis ko ulfat na ho aisā bhī hai insāñ koī
tum jo kahte the ki martā bhī nahīñ mar ga.e ham
aisā pāoge na ab tāba-e-farmāñ koī
jab kahā qatl karo mujh ko to qātil ne kahā
kyoñ har ik shaḳhs pe karne lagā ehsāñ koī
zer-e-turbat bhaḌak uThtā hai mirā sho.ala-e-ishq
qabr par aa ke jo kartā hai charāġhāñ koī
qatl ke baad nadāmat kā nahīñ jab kuchh asar
dafn kar ke mujhe kyā hogā pashemāñ koī
kuchh nahīñ ḳhātir-e-barham pe asar gesū kā
kyā kare ḳhaak pareshāñ ko pareshāñ koī
iḳhtiyār aap ko hai dil se suneñ yā na suneñ
sher 'hāmid' kā nahīñ āyat-e-qur.āñ koī
kyon hai chilman se nikale ruKH-e-taban koi
kya nikalne ko hai dil se mere arman koi
chhoD kar meri taraf nawak-e-mizhgan koi
ho gaya lene ko tayyar dil-o-jaan koi
dahan-e-zaKHm mein bhar aae na pani kyunkar
dur se mujh ko dikhata hai namak-dan koi
mar rahun hogi jabhi mujh ko rihai gham se
aur to koi na surat hai na unwan koi
dil ye samjha ki anis ek KHuda ne bheja
TuT kar rah gaya pahlu mein jo paikan koi
baiTh kar ghaur se kyon dekh rahe ho mujh ko
sochte kya ho mere dard ka darman koi
rakhte hain tark-e-mohabbat ka wo mujh par ilzam
jis ko ulfat na ho aisa bhi hai insan koi
tum jo kahte the ki marta bhi nahin mar gae hum
aisa paoge na ab taba-e-farman koi
jab kaha qatl karo mujh ko to qatil ne kaha
kyon har ek shaKHs pe karne laga ehsan koi
zer-e-turbat bhaDak uThta hai mera shoala-e-ishq
qabr par aa ke jo karta hai charaghan koi
qatl ke baad nadamat ka nahin jab kuchh asar
dafn kar ke mujhe kya hoga pasheman koi
kuchh nahin KHatir-e-barham pe asar gesu ka
kya kare KHak pareshan ko pareshan koi
iKHtiyar aap ko hai dil se sunen ya na sunen
sher 'hamid' ka nahin aayat-e-quran koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.