kyoñ hamesha hamīñ kalām kareñ
kabhī vo bhī du'ā-salām kareñ
kyā ye sunñe ko ham kalām kareñ
aap ko kyā hai apnā kaam kareñ
yuuñ na rah rah ke merā kaam kareñ
ik nazar aur bas tamām kareñ
jā.iye rind aur tark-e-sharāb
shaiḳh jī kuchh nayā harām kareñ
kaam bātoñ pe kar ke dekh liyā
kyoñ na paiġhāmbar pe kaam kareñ
haal pūchhā jo ham ne to bole
aap ko kyā hai apnā kaam kareñ
qais bhī aa ke dasht meñ ham se
pūchhtā hai kahāñ qiyām kareñ
ham vo badnām haiñ jinheñ 'hāris'
ḳhuld se 'shefta' salām kareñ
kyon hamesha hamin kalam karen
kabhi wo bhi du'a-salam karen
kya ye sunne ko hum kalam karen
aap ko kya hai apna kaam karen
yun na rah rah ke mera kaam karen
ek nazar aur bas tamam karen
jaiye rind aur tark-e-sharab
shaiKH ji kuchh naya haram karen
kaam baaton pe kar ke dekh liya
kyon na paighambar pe kaam karen
haal puchha jo hum ne to bole
aap ko kya hai apna kaam karen
qais bhi aa ke dasht mein hum se
puchhta hai kahan qiyam karen
hum wo badnam hain jinhen 'haaris'
KHuld se 'shefta' salam karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.