kyon hashr bapa aah KHudaya nahin hota
kyoñ hashr bapā aah ḳhudāyā nahīñ hotā
kyā kyā nahīñ sahtā huuñ maiñ kyā kyā nahīñ hotā
majnūñ kī tarah se mujhe saudā nahīñ hotā
maiñ bhūle ravāna sū-e-sahrā nahīñ hotā
giryāñ sifat-e-abr huuñ muztar sifat-e-barq
is lutf pe tū mahv-e-tamāshā nahīñ hotā
fir.aun huā hai vo mire haq kā ḳhudāyā
kyoñ naala asā-e-kaf-e-mūsā nahīñ hotā
hāl-e-dil-e-betāb taḌapne se nahīñ kuchh
māshūq ke aane pe ijārā nahīñ hotā
iqrār-e-shab-e-vasl pe ye tuul are zālim
dam bhar ke bhī jiine kā bharosā nahīñ hotā
ma.alūm ho tujh ko are zālim pa karūñ kyā
mahshar mirī taqdīr se barpā nahīñ hotā
kyoñ mahv-e-tamāshā hai mirī laash pe aalam
kah do koī martā hai tamāshā nahīñ hotā
nākām-e-shahādat haiñ vo ai ham-nafasāñ ham
ḳhanjar ke tale kaam hamārā nahīñ hotā
az-bas vo siyah-kār-e-hayā huuñ maiñ tah-e-ḳhāk
gaahe mire marqad meñ ujālā nahīñ hotā
kyon hashr bapa aah KHudaya nahin hota
kya kya nahin sahta hun main kya kya nahin hota
majnun ki tarah se mujhe sauda nahin hota
main bhule rawana su-e-sahra nahin hota
giryan sifat-e-abr hun muztar sifat-e-barq
is lutf pe tu mahw-e-tamasha nahin hota
firaun hua hai wo mere haq ka KHudaya
kyon nala asa-e-kaf-e-musa nahin hota
haal-e-dil-e-betab taDapne se nahin kuchh
mashuq ke aane pe ijara nahin hota
iqrar-e-shab-e-wasl pe ye tul are zalim
dam bhar ke bhi jine ka bharosa nahin hota
malum ho tujh ko are zalim pa karun kya
mahshar meri taqdir se barpa nahin hota
kyon mahw-e-tamasha hai meri lash pe aalam
kah do koi marta hai tamasha nahin hota
nakaam-e-shahadat hain wo ai ham-nafasan hum
KHanjar ke tale kaam hamara nahin hota
az-bas wo siyah-kar-e-haya hun main tah-e-KHak
gahe mere marqad mein ujala nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.