kyon ho gaya hai sard ye bazar kuchh kaho
kyoñ ho gayā hai sard ye bāzār kuchh kaho
yūsuf kā bhī nahīñ hai ḳharīdār kuchh kaho
ai hāziqān-e-vaqt-e-tarahdār kuchh kaho
kyoñ hai ḳhamosh aap kā bīmār kuchh kaho
zindāñ meñ rah ke kis liye lab haiñ tumhāre band
kyā jurm hai tumhārā sazā-vār kuchh kaho
chehre pe chhā rahī haiñ har ik ke udāsiyāñ
tum muskurā ke ai mirī sarkār kuchh kaho
ik baar phir nikal ke zarā aao baam par
baiThe ho kis liye pas-e-dīvār kuchh kaho
paiġhām sher meñ hai na tasvīr meñ hai rang
ai shā.ir ai musavvir-o-fankār kuchh kaho
murjhā rahe haiñ phuul to kaliyāñ udaas haiñ
kyoñ hai ḳhizāñ-gazīda ye gulzār kuchh kaho
ai ārifān-e-fikr-o-haqīqat kaho to kuchh
zehnoñ meñ kyā tumhāre haiñ angār kuchh kaho
insāniyat pe aaj kā insān hai baar kyoñ
kuchh to batāo sāhab-e-asrār kuchh kaho
tum se bhī vo ḳhafā haiñ ye kyā mājrā huā
tum to bahut the un ke vafādār kuchh kaho
guftār kā to zikr bahut ho chukā hai 'fauq'
kirdār kyā hai ġhāzī-e-guftār kuchh kaho
kyon ho gaya hai sard ye bazar kuchh kaho
yusuf ka bhi nahin hai KHaridar kuchh kaho
ai haziqan-e-waqt-e-tarahdar kuchh kaho
kyon hai KHamosh aap ka bimar kuchh kaho
zindan mein rah ke kis liye lab hain tumhaare band
kya jurm hai tumhaara saza-war kuchh kaho
chehre pe chha rahi hain har ek ke udasiyan
tum muskura ke ai meri sarkar kuchh kaho
ek bar phir nikal ke zara aao baam par
baiThe ho kis liye pas-e-diwar kuchh kaho
paigham sher mein hai na taswir mein hai rang
ai shair ai musawwir-o-fankar kuchh kaho
murjha rahe hain phul to kaliyan udas hain
kyon hai KHizan-gazida ye gulzar kuchh kaho
ai aarifan-e-fikr-o-haqiqat kaho to kuchh
zehnon mein kya tumhaare hain angar kuchh kaho
insaniyat pe aaj ka insan hai bar kyon
kuchh to batao sahab-e-asrar kuchh kaho
tum se bhi wo KHafa hain ye kya majra hua
tum to bahut the un ke wafadar kuchh kaho
guftar ka to zikr bahut ho chuka hai 'fauq'
kirdar kya hai ghazi-e-guftar kuchh kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.