kyon ho mamnun-e-qamar pur-nur paimane ki raat
kyon ho mamnun-e-qamar pur-nur paimane ki raat
Syed Husain Ali Jafri
MORE BYSyed Husain Ali Jafri
kyoñ ho mamnūn-e-qamar pur-nūr paimāne kī raat
roz-e-raushan se bhī raushan-tar hai maiḳhāne kī raat
de rahā hai sāqī-e-rangīñ-adā bhar bhar ke jaam
Dhal rahī hai aaj paimānoñ meñ maiḳhāne kī raat
aap ke zulm-o-sitam duniyā ko aa jaate nazar
is qadar tārīk gar hotī na dīvāne kī raat
dekhtā hai jo guzar jaatā hai ye kahtā huā
yā ilāhī ḳhair se kaT jaa.e dīvāne kī raat
zulmatoñ meñ jab tumhāre zulm aa jaate haiñ yaad
aur bhī tārīk ho jaatī hai dīvāne kī raat
jā ke ābādī se phir vāpas koī aatā nahīñ
kis qadar hai pur-sukūñ sunsān vīrāne kī raat
le liyā tārīki-e-shab ne use āġhosh meñ
roz-e-raushan dekhne niklā thā dīvāne kī raat
baad murdan zulmat-e-marqad ne ye sābit kiyā
qabr tak hai saath dīvāne ke dīvāne kī raat
hoñ mukaddar jin ke dil hargiz na vo aa.eñ yahāñ
kīna-parvar ko na raas aa.egī maiḳhāne kī raat
aañkh mahrūm-e-tamāshā ho to donoñ ek haiñ
tuur kī vo raushnī ho yā ho dīvāne kī raat
duur bechainī huī paayā sukūñ niiñd aa ga.ī
sham.a ke qadmoñ se vābasta thī parvāne kī raat
'ja.afarī' bāloñ kī hai halkī safedī se ayaañ
sub.h kī manzil pe aa pahuñchī hai maiḳhāne kī raat
kyon ho mamnun-e-qamar pur-nur paimane ki raat
roz-e-raushan se bhi raushan-tar hai maiKHane ki raat
de raha hai saqi-e-rangin-ada bhar bhar ke jam
Dhal rahi hai aaj paimanon mein maiKHane ki raat
aap ke zulm-o-sitam duniya ko aa jate nazar
is qadar tarik gar hoti na diwane ki raat
dekhta hai jo guzar jata hai ye kahta hua
ya ilahi KHair se kaT jae diwane ki raat
zulmaton mein jab tumhaare zulm aa jate hain yaad
aur bhi tarik ho jati hai diwane ki raat
ja ke aabaadi se phir wapas koi aata nahin
kis qadar hai pur-sukun sunsan virane ki raat
le liya tariki-e-shab ne use aaghosh mein
roz-e-raushan dekhne nikla tha diwane ki raat
baad murdan zulmat-e-marqad ne ye sabit kiya
qabr tak hai sath diwane ke diwane ki raat
hon mukaddar jin ke dil hargiz na wo aaen yahan
kina-parwar ko na ras aaegi maiKHane ki raat
aankh mahrum-e-tamasha ho to donon ek hain
tur ki wo raushni ho ya ho diwane ki raat
dur bechaini hui paya sukun nind aa gai
shama ke qadmon se wabasta thi parwane ki raat
'jafari' baalon ki hai halki safedi se ayan
subh ki manzil pe aa pahunchi hai maiKHane ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.