Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon iltija-e-shauq sar-e-bazm ki gai

Jauhar Nizami

kyon iltija-e-shauq sar-e-bazm ki gai

Jauhar Nizami

MORE BYJauhar Nizami

    kyoñ iltijā-e-shauq sar-e-bazm ga.ī

    sunñā to darkinār yahāñ baat bhī ga.ī

    pās-e-hijāb-e-husn hamesha rahā mujhe

    dil ke ḳhamosh saaz se āvāz ga.ī

    naġhmoñ ko sun ke bhī mire aañsū Tapak paḌe

    mujh se mirī tamām ḳhushī chhīn ga.ī

    maiñ sajda kar rahā huuñ ḳhud apne aks ko

    kyā un ke saath meñ mirī tasvīr ga.ī

    kuchh kah rahā thā dāvar-e-mahshar ke sāmne

    duzdīda ik nazar mire hoñToñ ko ga.ī

    maiñ vo ki tum pe kar fidā dil kā.enāt

    tum vo ki ek lamha tasallī na ga.ī

    aap aa.e bahr-e-pursish-e-ahvāl shukriya

    kyoñ ġham-nasīb ke liye taklīf ga.ī

    'jauhar' azal ke roz jo baTne lage naqīb

    ik bevafā se merī mohabbat likhī ga.ī

    kyon iltija-e-shauq sar-e-bazm ki gai

    sunna to darkinar yahan baat bhi gai

    pas-e-hijab-e-husn hamesha raha mujhe

    dil ke KHamosh saz se aawaz di gai

    naghmon ko sun ke bhi mere aansu Tapak paDe

    mujh se meri tamam KHushi chhin li gai

    main sajda kar raha hun KHud apne hi aks ko

    kya un ke sath mein meri taswir li gai

    kuchh kah raha tha dawar-e-mahshar ke samne

    duzdida ek nazar mere honTon ko si gai

    main wo ki tum pe kar di fida dil ki kaenat

    tum wo ki ek lamha tasalli na di gai

    aap aae bahr-e-pursish-e-ahwal shukriya

    kyon gham-nasib ke liye taklif ki gai

    'jauhar' azal ke roz jo baTne lage naqib

    ek bewafa se meri mohabbat likhi gai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now