kyon jaan ke bhi log sab anjaan bahut hain
kyoñ jaan ke bhī log sab anjān bahut haiñ
haiñ fā.ede kam 'ishq ke nuqsān bahut haiñ
ai yaar zarā dil ko tū qaabū meñ rakhā kar
rah rah ke machalte tire armān bahut haiñ
dushman hī nahīñ haiñ mirī barbādī meñ shāmil
mujh par mire yāroñ ke bhī ehsān bahut haiñ
'sangīt' zarā Thiik karo apnā ravayya
kuchh log yahāñ tum se pareshān bahut haiñ
kyon jaan ke bhi log sab anjaan bahut hain
hain faede kam 'ishq ke nuqsan bahut hain
ai yar zara dil ko tu qabu mein rakha kar
rah rah ke machalte tere arman bahut hain
dushman hi nahin hain meri barbaadi mein shamil
mujh par mere yaron ke bhi ehsan bahut hain
'sangit' zara Thik karo apna rawayya
kuchh log yahan tum se pareshan bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.