kyon kaha pas tere aaina-e-dil na rahe
kyoñ kahā paas tire ā.ina-e-dil na rahe
kyā ye ḳhvāhish hai koī terā muqābil na rahe
tālib-e-dard ko matlūb hai sāmān-e-tapish
nashtar-e-ġham rahe pahlū meñ agar dil na rahe
un kī ye zid hai nirālī ki mire siine meñ
dil-e-vārafta rahe ārzū-e-dil na rahe
haath bismil ne baḌhāyā hai lipaT jaane ko
ki kafan ban ke rahe dāman-e-qātil na rahe
rahrav-e-rāh-e-mohabbat ko hidāyat ye hai
jāda-paimā.ī rahe hasrat-e-manzil na rahe
ḳhāna-e-dil meñ utarne kā ye matlab Thahrā
mehmāñ ban ke rahe ḳhanjar-e-qātil na rahe
qatl-e-ushshāq se qātil kā ye matlab to nahīñ
ġhāyat-e-ishq-o-vafā uqda-e-mushkil na rahe
de ke jaañ is liye letā huuñ sukūn-e-ḳhātir
dā.imī ban ke rahe daulat-e-ājil na rahe
kyoñ ḳhafā hote ho dīvānoñ kī ḳhvāhish ye hai
naġhma-e-ishq bane shor-e-salāsil na rahe
nazr-e-ġham is liye kī jān-e-hazīñ 'bedil' ne
us kī gardan pe kahīñ minnat-e-qātil na rahe
kyon kaha pas tere aaina-e-dil na rahe
kya ye KHwahish hai koi tera muqabil na rahe
talib-e-dard ko matlub hai saman-e-tapish
nashtar-e-gham rahe pahlu mein agar dil na rahe
un ki ye zid hai nirali ki mere sine mein
dil-e-warafta rahe aarzu-e-dil na rahe
hath bismil ne baDhaya hai lipaT jaane ko
ki kafan ban ke rahe daman-e-qatil na rahe
rahraw-e-rah-e-mohabbat ko hidayat ye hai
jada-paimai rahe hasrat-e-manzil na rahe
KHana-e-dil mein utarne ka ye matlab Thahra
mehman ban ke rahe KHanjar-e-qatil na rahe
qatl-e-ushshaq se qatil ka ye matlab to nahin
ghayat-e-ishq-o-wafa uqda-e-mushkil na rahe
de ke jaan is liye leta hun sukun-e-KHatir
daimi ban ke rahe daulat-e-ajil na rahe
kyon KHafa hote ho diwanon ki KHwahish ye hai
naghma-e-ishq bane shor-e-salasil na rahe
nazr-e-gham is liye ki jaan-e-hazin 'bedil' ne
us ki gardan pe kahin minnat-e-qatil na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.