kyon kaha tha wafa-shiar mujhe
kyoñ kahā thā vafā-shi'ār mujhe
ab hai apnā hī intizār mujhe
mil ga.e itne ġham-gusār mujhe
Das rahī hai bharī bahār mujhe
hai ḳhirad se bhī apnā yārāna
hai junūñ par bhī iḳhtiyār mujhe
be-ḳhudī tū hī dast-gīrī kar
zindagī kar rahī hai ḳhvār mujhe
saare tūfān ho chuke paspā
ab to dariyā se paar utaar mujhe
maiñ huuñ ‘irfān-e-zāt kā shahkār
kyoñ kisī par ho inhisār mujhe
sar-bulandī mire ḳhamīr meñ hai
maiñ tirā naqsh huuñ ubhār mujhe
apne bandoñ se jis ko pyaar nahīñ
aisī duniyā se kyoñ hai pyaar mujhe
maiñ jo tauba karūñ gunāhoñ se
sab kaheñge gunāhgār mujhe
baat anokhī sahī magar 'sāhir'
dard hī meñ milā qarār mujhe
kyon kaha tha wafa-shi'ar mujhe
ab hai apna hi intizar mujhe
mil gae itne gham-gusar mujhe
Das rahi hai bhari bahaar mujhe
hai KHirad se bhi apna yarana
hai junun par bhi iKHtiyar mujhe
be-KHudi tu hi dast-giri kar
zindagi kar rahi hai KHwar mujhe
sare tufan ho chuke paspa
ab to dariya se par utar mujhe
main hun ‘irfan-e-zat ka shahkar
kyon kisi par ho inhisar mujhe
sar-bulandi mere KHamir mein hai
main tera naqsh hun ubhaar mujhe
apne bandon se jis ko pyar nahin
aisi duniya se kyon hai pyar mujhe
main jo tauba karun gunahon se
sab kahenge gunahgar mujhe
baat anokhi sahi magar 'sahir'
dard hi mein mila qarar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.