kyon kahte ho panw nahin ghar chalta hai
kyoñ kahte ho paañv nahīñ ghar chaltā hai
aisī hī bātoñ par ḳhanjar chaltā hai
āsūda hai kaun tamāshā-bīnī se
āñkheñ thak jaatī haiñ manzar chaltā hai
raat ga.e sab aapas meñ mil jaate haiñ
ḳhvāboñ kī duniyā meñ bistar chaltā hai
shīshe kā ghar achchhā lagtā hai lekin
shīshe ke ghar par hī patthar chaltā hai
pyaas bujhānā sāhil sāhil jā kar kyā
ḳhud aa.egā ḳhuub samundar chaltā hai
bāhar bāhar yūñhī nahīñ maiñ be-tartīb
tez havā kā jhoñkā andar chaltā hai
'shāhid' vo manzar kaisā hotā hai jab
pagDanDī par chāñd utar kar chaltā hai
kyon kahte ho panw nahin ghar chalta hai
aisi hi baaton par KHanjar chalta hai
aasuda hai kaun tamasha-bini se
aankhen thak jati hain manzar chalta hai
raat gae sab aapas mein mil jate hain
KHwabon ki duniya mein bistar chalta hai
shishe ka ghar achchha lagta hai lekin
shishe ke ghar par hi patthar chalta hai
pyas bujhana sahil sahil ja kar kya
KHud aaega KHub samundar chalta hai
bahar bahar yunhi nahin main be-tartib
tez hawa ka jhonka andar chalta hai
'shahid' wo manzar kaisa hota hai jab
pagDanDi par chand utar kar chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.