kyon KHauf sa aata mujhe diwar se dar se
kyoñ ḳhauf sā aatā mujhe dīvār se dar se
vo TuuTā makāñ achchhā thā is kāñch ke ghar se
kuchh log añdhere meñ chale jānib-e-manzil
ham ghar se nikalte hī nahīñ dhuup ke Dar se
detā hī nahīñ saath baḌe vaqt meñ koī
jhaḌ jaate haiñ patte bhī ḳhizāñ meñ to shajar se
sachchā.ī kā da.avā jo kiyā karte the har dam
vo log bhī ḳhāmosh rahe maut ke Dar se
afsos bahut hai ki ye puurā nahīñ utrā
ummīd bahut rakhī thī duniyā ne bashar se
ḳhud miT ke zamāne ko ujālā hī diyā hai
sīkhā hai sabaq ham ne yahī sham-e-sahar se
jis ko na koī rañj koī ġham na milā ho
guzrā hī nahīñ aisā bashar merī nazar se
tum vaqt pe 'parvez' har ik jabr ko roko
paanī na nikal jaa.e kahīñ dekhnā sar se
kyon KHauf sa aata mujhe diwar se dar se
wo TuTa makan achchha tha is kanch ke ghar se
kuchh log andhere mein chale jaanib-e-manzil
hum ghar se nikalte hi nahin dhup ke Dar se
deta hi nahin sath baDe waqt mein koi
jhaD jate hain patte bhi KHizan mein to shajar se
sachchai ka dawa jo kiya karte the har dam
wo log bhi KHamosh rahe maut ke Dar se
afsos bahut hai ki ye pura nahin utra
ummid bahut rakhi thi duniya ne bashar se
KHud miT ke zamane ko ujala hi diya hai
sikha hai sabaq hum ne yahi sham-e-sahar se
jis ko na koi ranj koi gham na mila ho
guzra hi nahin aisa bashar meri nazar se
tum waqt pe 'parwez' har ek jabr ko roko
pani na nikal jae kahin dekhna sar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.