kyon kisi aur ka aise mein bhala ho jae
kyoñ kisī aur kā aise meñ bhalā ho jaa.e
naqsh-e-pā chuum ke niklūñ to qazā ho jaa.e
merī qismat meñ agar naam na shāmil ho tirā
phir ye tāḳhīr kā lamha bhī judā ho jaa.e
kaash aisā ho ki manzar meñ nikhār aa jaa.e
kaash aisā ho mirā ḳhvāb harā ho jaa.e
zindagī dasht-navardī meñ guzārī maiñ ne
aur vo kahtā hai dil dasht-zada ho jaa.e
sochte sochte is kār-e-aziyyat ke tufail
ā.ina-ḳhāna-e-hairat meñ ḳhalā ho jaa.e
un ko is dil kī udāsī kī ḳhabar hai hī nahīñ
jo ye kahte haiñ ki har ḳhvāb mirā ho jaa.e
dekhne vāloñ ko kuchh kah bhī nahīñ sakte 'umūd'
kaun kab un se mile un pe fidā ho jaa.e
kyon kisi aur ka aise mein bhala ho jae
naqsh-e-pa chum ke niklun to qaza ho jae
meri qismat mein agar nam na shamil ho tera
phir ye taKHir ka lamha bhi juda ho jae
kash aisa ho ki manzar mein nikhaar aa jae
kash aisa ho mera KHwab hara ho jae
zindagi dasht-nawardi mein guzari main ne
aur wo kahta hai dil dasht-zada ho jae
sochte sochte is kar-e-aziyyat ke tufail
aaina-KHana-e-hairat mein KHala ho jae
un ko is dil ki udasi ki KHabar hai hi nahin
jo ye kahte hain ki har KHwab mera ho jae
dekhne walon ko kuchh kah bhi nahin sakte 'umud'
kaun kab un se mile un pe fida ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.