kyon kisi ko DhunDte ho hath mein le kar charagh
kyoñ kisī ko DhūñDte ho haath meñ le kar charāġh
ab kahāñ vo gaañv hote the jahāñ ghar ghar charāġh
dekhnā us ko agar hai in charāġhoñ ko bujhāo
kaise dekhoge use tum sāmne rakh kar charāġh
maiñ ne chupke se kahī ab baat us ke kaan meñ
us ne apne haath se gul kar diyā hañs kar charāġh
ab jo lauTā huuñ to sab hairat se takte haiñ mujhe
jām-o-mīnā gumbad-o-mehrāb bām-o-dar charāġh
aaj to un kī nazar ke vāste sau rang haiñ
kal parindoñ ke liye hote the bāl-o-par charāġh
shab to andhī hai rahegī umr bhar andhī 'matīn'
yā jalo tum shaam se yā phir jaleñ din bhar charāġh
kyon kisi ko DhunDte ho hath mein le kar charagh
ab kahan wo ganw hote the jahan ghar ghar charagh
dekhna us ko agar hai in charaghon ko bujhao
kaise dekhoge use tum samne rakh kar charagh
main ne chupke se kahi ab baat us ke kan mein
us ne apne hath se gul kar diya hans kar charagh
ab jo lauTa hun to sab hairat se takte hain mujhe
jam-o-mina gumbad-o-mehrab baam-o-dar charagh
aaj to un ki nazar ke waste sau rang hain
kal parindon ke liye hote the baal-o-par charagh
shab to andhi hai rahegi umr bhar andhi 'matin'
ya jalo tum sham se ya phir jalen din bhar charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.