kyon meri mohabbat ko wo Thukrae hue hain

kyon meri mohabbat ko wo Thukrae hue hain
Faisal Qadri Gunnauri
MORE BYFaisal Qadri Gunnauri
kyoñ merī mohabbat ko vo Thukrā.e hue haiñ
kyā baat hai vo kis liye ghabrā.e hue haiñ
mahfil meñ 'ajab kaif hai mastī kā samāñ hai
be-parda vo mahfil meñ jo aaj aa.e hue haiñ
ham kab the bhalā vāqif-e-ādāb-e-mohabbat
andāz ye sab aap ke sikhlā.e hue haiñ
saaqī hoñ 'atā chashm se paimāne inheñ bhī
ḳhud aa.e nahīñ rind ye bulvā.e hue haiñ
vīrān nazar aatā hai kyoñ gulshan-e-hastī
kyoñ ġhuncha-o-gul aaj ye murjhā.e hue haiñ
vāqif nahīñ shāyad ye abhī rang-e-shafaq se
ā.īne tire husn pe itrā.e hue haiñ
'faisal' maiñ unheñ phuul kahūñ yā ki gulistāñ
jo gulshan-e-hastī mirā mahkā.e hue haiñ
kyon meri mohabbat ko wo Thukrae hue hain
kya baat hai wo kis liye ghabrae hue hain
mahfil mein 'ajab kaif hai masti ka saman hai
be-parda wo mahfil mein jo aaj aae hue hain
hum kab the bhala waqif-e-adab-e-mohabbat
andaz ye sab aap ke sikhlae hue hain
saqi hon 'ata chashm se paimane inhen bhi
KHud aae nahin rind ye bulwae hue hain
viran nazar aata hai kyon gulshan-e-hasti
kyon ghuncha-o-gul aaj ye murjhae hue hain
waqif nahin shayad ye abhi rang-e-shafaq se
aaine tere husn pe itrae hue hain
'faisal' main unhen phul kahun ya ki gulistan
jo gulshan-e-hasti mera mahkae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.