kyon mere baad mere waste girya kije
kyoñ mire baad mire vāste girya kiije
kachchī dīvār thī ḳhud baiTh ga.ī kyā kiije
aap kī bazm meñ baiThā huuñ maiñ ġhairoñ kī tarah
qad mirā past sahī dil to na chhoTā kiije
ātish-e-gul kabhī dāman bhī jalā detī hai
dekhnā ho to unheñ duur se dekhā kiije
aa rahe haiñ vo pas-e-marg masīhā.ī ko
kaash kah de koī is laash ko zinda kiije
dil kī taskīn kā sāmān bhī ho jā.egā
jauhar-e-ḳhanjar-e-qātil pe bharosa kiije
bāda-noshī se hamīñ baaz na aa.e yaaro
dil to har saañs pe kahtā rahā tauba kiije
azmat-e-arz-e-vatan pūchhiye ham se 'shādāñ'
dil ye kahtā hai ki har-gām pe sajda kiije
kyon mere baad mere waste girya kije
kachchi diwar thi KHud baiTh gai kya kije
aap ki bazm mein baiTha hun main ghairon ki tarah
qad mera past sahi dil to na chhoTa kije
aatish-e-gul kabhi daman bhi jala deti hai
dekhna ho to unhen dur se dekha kije
aa rahe hain wo pas-e-marg masihai ko
kash kah de koi is lash ko zinda kije
dil ki taskin ka saman bhi ho jaega
jauhar-e-KHanjar-e-qatil pe bharosa kije
baada-noshi se hamin baz na aae yaro
dil to har sans pe kahta raha tauba kije
azmat-e-arz-e-watan puchhiye hum se 'shadan'
dil ye kahta hai ki har-gam pe sajda kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.